Doston, aap sabhi ka "Tech Jugaad Pro" me firse swagat hai. Jis tarah aapne is series "Blogging Se Paisa Kaise Kamaye?" ke pehle part ko behad pyaar diya, aasha karte hain ki aap iske dusre part ko bhi utna hi pyaar denge. Doston, pehle part me humne aapko blogging ke bare me thodi basic jankari dene ki poori koshish ki hai.
Aap is button ke jariye pehle part ko dekh sakte ho. Ab aaj ke part me hum aapko Blogger ke bare me poori jankari denge aur batayenge ki Blogger par blog kaise banaya jata hai. Uske liye aapko kya-kya jaroori cheezein chahiye, aur us blog se aap kis tarah aur kab paisa kamana shuru karoge, ye sab jankari hum aaj ke part me denge.
Ye part behad khaas hoga. Isliye doston, is part ko dhyaan se padhiye aur apni blogging skill ko behad khaas banaye.
Blogger Kya Hai?Doston, Blogger ek Free Platform hai, jo Google ka hai. Aap Blogger par badi hi asaani ke sath apna blog bana sakte ho aur paisa kama sakte ho. Blogger ki ye khaas baat hai ki agar aapko blogging ke bare me thodi bhut knowledge hai, to bhi aap is par blog bana sakte ho.
Blogger par banaye gaye kayi aise blogs hai jo aaj ke samay me lakhon rupaye mahina kama rahe hai. Agar aap un blogs ko internet ke jariye dekhenge, to aap janenge ki unpar kuch mahatvapurn jankari daal kar wo log aaj lakhon rupaye mahina kama rahe hai. To aap bhi Blogger ki madad se paisa kama sakte ho.
Blogger Par Blog Kaise Banaye?
1. Sabse pehle aap apne Google Account yani Gmail ke jariye blogger.com par jakar sign in kijiye.
2. New Blog create kijiye.
3. Blog Name, Blog Description aur Blog Settings kijiye.
4. Blog par ek customize theme lagaye.
5. Blog par jaroori pages jaise ki Contact Us Page, About Us Page, Privacy Policy Page, Disclaimer Page aur Site Map Page lagaye. Note: Ye sabhi pages bahut hi jaroori hai; inhe lagaye bina aapko Google AdSense me approval milna mushkil ho sakta hai. Isliye in sabhi pages ko dhyaan se banaye aur apne blog ke Pages section me unhe lagaye.
Blog publish karne ke baad aap badi hi asaani ke sath Post section me jaye aur New Post par click karke apni post likhe aur publish kare. Jab aapko lage ki aapke kam se kam 50 posts Google par rank kar rahe hai aur unpar acha khasa traffic bhi hai, to aap apne blog ko Google AdSense ke liye apply kar sakte ho.
Blogger Me Blog Post Kaise Likhe?Blogger me blog post likhna behad aasaan hai. Blog post likhne ke liye sabse pehle aap Blogger ke Dashboard me New Post par click kijiye. Ab aap blog post ke is section me blog post likhiye.
Ek SEO Friendly Blog Post me aap starting H1 tag se kare, aur poori post me sabhi tags jaise H2, H3, aur H5 tags lagaye. Isse aapki post ko Google dwara samjhne me kafi madad milegi, aur aapki post ko ranking me bhi madad milegi.
Sabhi jaroori keywords ko <strong> tag ke andar likhe. Ye post ko aur bhi jyada majboot banata hai. Post ke jaroori keywords ka highlight hona jaroori hai. Koshish kijiye post ke andar ek table ka nirmaan bhi kijiye. Bina kisi copy-paste ke aap apni post ko 100% unique likhiye, kyunki Google ke robots ko aapki unique post padhne me hi dilchaspi hai. Post ko ho sake to aasaan bhasha me hi likhiye aur jyada lamba na likhe.
No comments:
Post a Comment