3D Flip Card with Hover Animation for Blogger – Stylish HTML & CSS Design 2025

Hello Doston, aap sabhi ka hamare blog Tech Jugaad Pro me swagat hai. Doston jaisa ki aap sabhi ko maloom hi hai ki ham aapke liye is blog me hamesha kuch na kuch naya lekar aate rehte hain. Usi parampara ko nibhaate huye aaj ham aapke liye jo post likh rahe hain, use padhkar aapki Blogging Skill itni jyada khubsurat ho jayegi ki aap khud bhi apne aap par yakeen nahi kar paoge.

Darasal is blog post me ham aapke liye HTML aur CSS Full Course ko aage badhaate huye 3D Glass Flip Card ko kis tarah ek Blogger par banaye gaye blog ke liye customize karna hai, uska tarika lekar aaye hain. Doston aapko yeh bata dein ki jab yeh 3D Flip Card bankar tayaar ho jayega, to jo bhi log aapki is blog post par aayenge wo achambhit reh jayenge.

Doston, sath hi sath agar aap hamare is blog par naye hain to aap hamari Pichli Post joki Profile Card par banayi gayi thi dekh sakte ho. Kyunki ham aapke liye behad jyada khubsurat aur mushkil Jankariyan lekar aate hain, fir unhe Blogger ke liye convert karte hain, aur wo jankari aap sabhi tak pahunchate hain.

Kyunki hamara maksad hai ki Google par Blogger ko bhi ek khubsurat blog banaya jaa sake, bus skill hona chahiye. Aur wo Skill ham aapko denge. Isliye aap wo post bhi zaroor dekh lein.

Flip Card Kise Kehte Hain?

Doston, aap sabhi ke liye hum hamesha Blogger se judi jankari lekar aate hain. Lekin aaj ki post jo ki Flip Card par aadharit hai, ismein hum aapko Flip Card ko kis tarah Blogger ke liye banaya jata hai uske baare me poori jankari denge. Lekin sabse pehle yeh jaan lete hain ki Flip Card kise kehte hain.

Thumbnail Aur Uska Mahatva

Sabse pehle aapko bata dein ki blog ya website par likhi hui koi bhi post par ek Thumbnail hota hai, jo us post ko image me dikhata hai. Lekin kabhi-kabhi aisa hota hai ki ek hi image me jyada jankari dena mushkil ho jata hai. Isi samasya ko solve karne ke liye Flip Card ka use kiya jata hai.

Flip Card Ka Structure

Flip Card basically ek hi card me do alag-alag parts hote hain – ek Front aur ek Back. Jab aap card ke Front ko dekhte hain to us par kuch jankari dikhayi deti hai, aur jaise hi aap card par hover karte hain to wahi card flip hokar apna Back part dikhata hai, jisme dusri jankari hoti hai. Isi prakriya ko hi Flip Card kaha jata hai.

Yeh dekhne me jitna sundar hota hai utna hi aakarshak bhi hota hai. Flip Card se aapki post ki value bhi badh jaati hai. Aur aisi post ko Google bahut jald rank kar deta hai.

Is se aapke Blog ka Traffic badhega. Lekin ise kis tarah se banaya jaye, aaiye wo jaante hain.

3D Glass Flip Card - HTML Code

3D Glass Flip Card

Hover / Tap to Reveal

Back Side Content

Ye card **Glassmorphism + Neon Glow** ke saath bana hai.
Blogger post me premium style show karega.

Explore More

3D Glass Flip Card - CSS Code

/* === Tech Jugaad Pro: 3D Flip Card (Unique Center Style) === */
.tj-3d-container{
display: flex;
justify-content: center;
align-items: center;
min-height: 80vh;   /* card center me rahega */
background: linear-gradient(135deg,#1e293b,#0f172a); /* dark gradient bg */
padding: 30px;

.tj-3d-wrap{
perspective: 1200px;

.tj-3d-card{
width: 320px;
height: 430px;
position: relative;
transform-style: preserve-3d;
transition: transform 0.9s cubic-bezier(.2,.85,.2,1);

.tj-3d-wrap:hover .tj-3d-card{
transform: rotateY(180deg);

/* === Faces === */
.tj-3d-face{
position: absolute;
width: 100%; height: 100%;
backface-visibility: hidden;
border-radius: 20px;
overflow: hidden;
box-shadow: 0 20px 40px rgba(0,0,0,.4);

/* === Front === */
.tj-3d-front{
background: rgba(255,255,255,0.08);
backdrop-filter: blur(12px) saturate(160%);
-webkit-backdrop-filter: blur(12px) saturate(160%);
border: 1px solid rgba(255,255,255,0.2);
display: flex;
flex-direction: column;
justify-content: flex-end;
padding: 20px;
text-align: center;
color: #f8fafc;

.tj-3d-front img{
position: absolute;
inset: 0;
width: 100%; height: 100%;
object-fit: cover;
z-index: -1;
transition: transform 1s ease;

.tj-3d-wrap:hover .tj-3d-front img{
transform: scale(1.1);

.tj-3d-front h3{
font-size: 1.4rem;
font-weight: 800;
margin: 0;
text-shadow: 0 3px 8px rgba(0,0,0,.6);

.tj-3d-front p{
margin-top: 5px;
font-size: 0.9rem;
opacity: 0.85;

/* === Back === */
.tj-3d-back{
background: linear-gradient(135deg,#4f46e5,#9333ea);
transform: rotateY(180deg);
color: white;
padding: 25px;
text-align: center;

.tj-3d-back h3{
font-size: 1.2rem;
margin-bottom: 12px;

.tj-3d-back p{
font-size: .95rem;
line-height: 1.5;

.tj-btn{
display: inline-block;
margin-top: 18px;
padding: 10px 20px;
border-radius: 12px;
background: white;
color: #4f46e5;
font-weight: bold;
text-decoration: none;
transition: 0.3s;

.tj-btn:hover{
background: #111827;
color: #fff;
box-shadow: 0 0 15px rgba(255,255,255,.4);

Upar diye gaye 3D Glass Flip Card Code ki madad se aap bahut hi aasani ke sath ek stylish aur modern design card create kar sakte ho. Doston, main janta hoon ki aaj ke time me padhna mushkil lagta hai, lekin video dekhna zyada interesting aur easy hota hai. Isi wajah se aapko bore hone se bachane ke liye humne ek detailed video tutorial bhi apne YouTube Channel par upload kiya hai. Aap chahe to step by step video dekhkar bhi is flip card design ko banana seekh sakte ho. 🚀

🎥 Stylish 3D Glass Flip Card Tutorial

Iss video me aap step by step sikhoge ki kaise ek Stylish 3D Glass Flip Card bana sakte ho Blogger ke liye. 🔥

Doston, aapko yeh jankari kaisi lagi? Hame comment awashy kare aur hame comment karke bataye ki aap kis jankari par agli video aur blog post chahte ho.

Ham poori koshish karenge ki aapke liye wahi post tyaar karein jo aapke liye sabse zyada helpful ho. 💡

No comments:

Powered by Blogger.